Friday, September 29, 2006


KHOOBSURAT

Prateek Gupta(IIIrd Year,Computers)




khubsoorat hain wo lub jo
pyari baatein kertey hain

khubsoorat hai wo muskurahat jo

dusaroon ke chehroon per bhi muskan saja de
khubsoorat hai wo dil jo
kisi ke dard ko samjhey jo kisi ke dard mein tadpey
khubsoorat hain wo jazbat jo kisi ka ehsaas karein
khubsoorat hai wo ehsaas jo kisi ke dard ka rehnuma baney
khubsoorat hain wo batein jo kisi ka dil na dukhaein
khubsoorat hain wo aankhein jin mein pakezgi sharm ho haya ho
khubsoorat hain wo aansoo jo
kisi ke dard ko mehsoos kerke beh jaein
khubsoorat hain wo Hath jo
kisi ko mushkil waqat mein tham lein
khubsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye aagey badein !!!!!
khubsoorat hai wo sooch
kisi ke liye acha soochey
khubsoorat hai wo insan jis ko
KHUDA ne ye khubsoorati ata ki.

1 comment:

Kumar Padmanabh said...

http://www.freewebs.com/padmanabh

[b]http://www.freewebs.com/padmanabh [/b]

मै बहुत ही तन्मयता से इस ब्लोग अवलोकन करता आ रहा हूँ. लेकिन लगता है समय के साथ लोगोँ की उर्जा खतम होती जा रही है. इस अभिव्यक्ति मे कोइ नया अभिव्यक्ति नही जुड़ा है. आप पुछ सकते हैँ कि मै कौन हूँ ऐसा टिपण्णी करने वाला. तो बस इतना समझ लीजिए कि मैने आ0आ0टी खड़गपुर से अभी-अभी कम्प्युटर नेटवर्क पर पी0एच0डी0 खतम किया है. अभी Infosys Bangalore मे रीसर्च एसोशिएट पद पर काम कर रहा हूँ. साहित्य मे रुचि है इसीलिए आपके इस ब्लोग का विजिट किया. धन्यवाद के पात्र हैँ गुगल महोदय जिन्होने मुझे इस पर आने को प्रेरित किया. खैर यदि आप मेरे बारे मे जानकारी चाहते हैँ तो मेरे इस पेज का भ्रमण करना मत भुलिएगा..... http://www.freewebs.com/padmanabh