Wednesday, May 09, 2007

ZINDAGI
  har chahat ko mita gayi koi
bheege palkon ko rula gayi koi,
zindagi se nazare chura raha tha mein
phir mujhse nain apne mila gayi koi,
sapno ki duniya ko kanhi peeche chod aya tha mein
par in choti do aankhon ko sapne phir dikha gayi koi 
 
ek pal uski bahoon mein mila yeh kum nahi
is pal ke baad mar jain toh bhi gam nahi
is pal mein jo baat hai,utna toh neri zindagi mein bhi dum nahi
bas yahi afsos hai, ki aaj woh aur mein rahe gaye hai aaj kahi hum nahi 
 
dard tune diya toh pyaara hai
mere dard ne mera jeevan sanwara hai
yun toh tnha hoon mein zamane bhar mein
haan magar bas ek tere diye dard ka sahara hai
doob jata mein zindagi ke toofano mein
tera diya dard mere jeevan ka kinara hai
kuch na chaiye mujhe
tujhse dard paana toh mujhe har pal ganwara hai 
 kalpanao mein kahi aage nikal aaya tere saath
jeena chahta hoon ab to tham kar bas tera haath
sapano ki duniya basai hai tere saath
bas us dunia mein kuch din jeena chahta hoon tere saath
nikala aaj phir hasrton ki baat
unki bhi yeh khwaish thi ki bas poori ho ab woh tere saath 
 

ek bakaarai chod gaya woh,
mere dil ki rahein mod gaya woh,
haseen sapano ke zarokhein, 
bas meri aankho mein khol gaya woh,
paas aaye woh mere chup chap,
magar dil ki dhadkno se jane kya bol gaya woh,
haan woh , bas woh,
kuch aisa kar gaya woh


by Prateek Gupta

IIIrd year computers

No comments: